Breaking

Sunday, 18 February 2018

Heer – Ranjha Story in Urdu:



Tarekh mein kuch sachi mohabbat kerne wale aese bhi paye jate hain jin kay wajood to aaj nahain rahe hain leakin un ke mohabbato ke misale aaj bhi de jate hain aur jin kay dilo mein chahat kay diyay jal chuke ho woh un ke aramgaho pe hazari dete hain. Aik aesa he jora Heer aur Ranjhe ka hai jin ke mohabbat to sachi thee leakin hasid dilo ne un kay pyar ko nazar laga de aur un ko milan se pehle moat ke wadi pe utaar deya gya. Aaj bhi latadad chahne wale Heer kay abaye gaou Jhang, Punjab, Pakistan pe ja kay us badnaseed joray ke yaado ko taza kerte aur khud hamesha saath nibhane ke aik dosre ko yaqeen dehaani kerate hain.
Heer, Ranjha ke mashhoor tareen dastan mashhoor shaer Waris Shah ne 1766 mein likhe howe hai. Zayadaeh logo ka kehna hai yeh aik sachi dastan hai aur Waris Shah ne Jhang kay abaye logo se jo dastan sune howe hai usse shaerana andaz mein beyan keya howa hai.
Heer ka taloq aik ameer Jutt gharane se thaa aur woh inthaye khoobsorat larke thee. Ranjha Darya-e-Chenab kay qareeb “Takht Hazara” mein aik Jutt gharane mein paeda howa thaa aur apne charo bhaeyo mein sub se choota thaa. Apne baap ka ladla beta hone kay natay usse baqi bhaeyo ke terah kheto mein mehnat nahain kerne perte thee. Woh bansuri bajaya kerta thaa. Zameen kay mamle pe jhagra hone ke wajah se Ranjha ghar chor deta hai. Waris Shah ke dastan mein yeh likha gya howa hai kay Ranjhay kay bhaee ke biwi Ranjhay ko khana dene se enkar ker dete hai to Ranjha ghar chor deta hai. Phir woh Heer kay gaou pohanch jata hai jaha usse Heer se ishq ho jate hai. Heer ka baap Ranjhay ko raywar ke nokre day de thee. Ranjha jaese bansuri bajata hota thaa Heer mashoor ho jate hai aur Ranjhay se mohabbat kerne lagte hai.  Heer aur Ranjha kafi saal chup kay milte rehte hain aur phir aik dafa Heer ka chacha Qaedo aur us kay walid Chuchak aur walda Malki ko pakkar lete hain. Heer ko majboor keya jata hai kay woh kissi aur “Saida Khera” naame mard kay saath shadi kare.
Ranjhay ka dil tot jata hai aur woh dehe elaqo mein tanha mara, mara phirta rehta thaa. Gorakhnath jo kay jogiyo kay “kanphata” firqe ka bani hota hai us se Ranjhay ke “Tilla Jogian” pe mulaqat ho jate hai. Ranjha kaan chaed leta hai, jogi ka roop ekhteyar ker leta hai aur madi duniya se talouq tor deta hai. Ranjha Rab ka naam le ker phir se Punjab bhar mein mara, mara phirne lagta hai aur Heer kay gaou pohanch jata hai.
Es dafa Heer kay Waldaen Heer ke shadi Ranjhay kay saath kerne kay liye razamand ho jate hain leakin aen shadi kay roz Heer ka chacha Kaedo, Heer ke khurak mein zehar dal deta hai ta kay yeh shadi na ho sake. Ranjha yeh khabar sun ker Heer ke imdad ke liye bhaga, bhaga jata hai leakin badqismati se daer ho chuke hote hai. Ranjha dilbardashta ho ker zehrela laddo khud bhi khaa leta hai aur Heer kay saath woh bhi mar jata hai.

No comments:

Post a Comment